NP-GanG
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


[Dina]-[Jhelum]
 
HomeLive Visi Chat User StatusNp TvLatest imagesSearchRegisterLog in

 

 Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain...

Go down 
AuthorMessage
Alone_Lover

Alone_Lover


Posts : 4
Join date : 2011-08-14
Age : 33
Location : Lahore

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain... Empty
PostSubject: Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain...   Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain... EmptySun Aug 14, 2011 10:39 pm

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain

Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai

Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai

Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain

Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey

Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi

Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar

Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata

Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein

Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui

So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar

Chalo ..... Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain.


Back to top Go down
 
Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain...
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» Hum Aapke Hain Koun - Full Length Bollywood Movie - English Subtitles
» Hum Saath Saath Hain - Full Length Bollywood Movie - Salman Khan, Saif Ali Khan & Karishma Kapoor

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
NP-GanG :: شاعری :: –» Urdu Shayari - اردو شاعری :: Ghazal - غزلیات-
Jump to: